Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
سنا ہے لوگ اُسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
تو اُس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات اُسے چاند تکتا رہتا ہے
ستارے بام فلک سے اُتر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے دن کو اُسے تتلیاں ستاتی ہیں
سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اُس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف
تو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اُس کی
تو ہم بھی اُس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اُس کو بھی ہے گفت و شنید کا شوق
تو کیوں نہ ہم بھی ذرا بات کر کے دیکھتے ہیں
احمد فراز
Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
To uske shehar mein kuch din thahar ke dekhte hain
Suna hai bole to baaton se phool jharte hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chaand takta rehta hai
Sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Suna hai din ko use titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain
Suna hai usko bhi hai sher-o-shaayri se shaghaf
To hum bhi mo’jize apne hunar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gaahek hai chashm-e-naaz uski
To hum bhi uski gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai usko bhi hai guft-o-shuneed ka shauq
To kyun na hum bhi zara baat kar ke dekhte hain
– Ahmad Faraz