
(Armaghan-e-Hijaz-24) Aaj Woh Kashmir Hai Mehkoom-o-Majboor-o-Faqeer
(آج وہ کشمیر ہے محکوم و مجبور و فقیر)
Today, that land of Kashmir, under the heels of the enemy, has become weak, helpless & poor
Aaj Woh Kashmir Hai Mehkoom-O-Majboor-O-Faqeer
Kal Jise Ahl-E-Nazar Kehte Thay Iran-E-Sagheer
Today, that land of Kashmir, under the heels of the enemy, has become weak, helples,s and poor
Once known among the wise as Little Iran.
Sina’ay Aflaak Se Uthti Hai Aah-E-Soz Naak
Mard-E-Haq Hota Hai Jab Maroob-E-Sultan-O-Ameer
A cry of burning lament issues forth from the heavens,
When the man of truth is overawed by the power and pomp of the king and landlord.
.
Keh Raha Hai Dastan Baydari-E-Ayam Ki
Koh Ke Daaman Mein Woh Gham Khana’ay Dehqaan-E-Peer
The old farmer’s cottage, on the mountainside, where pain and grief ever rule—
tells its sad story of Fate’s hard lot.
Aah! Ye Qoum-E-Najeeb-O-Charab Dast-O-Tar Damagh
Hai Kahan Roz-E-Makafaat Ae Khuda’ay Deer Geer?
So skilful of hands, so rich in mind, these people, alas, or pure breed,
O God, your justice, so long delayed, must come at last as a retribution
Full Explanation in Urdu and Roman Urdu
Urdu
علامہ اقبال کہتے ہیں کہ وہ کشمیر جسے اس کی خوشحالی اور خوبصورتی کی وجہ سے ماضی کے دانش مند لوگ “چھوٹا ایران” کہتے تھے، آج ہندوؤں کے ظلم اور لوٹ مار کی وجہ سے بدحالی کا شکار ہے۔
وہاں کے مسلمان خوشحالی کے بجائے مصیبتوں میں مبتلا ہیں، آزادی کے بجائے غلامی کی زنجیروں میں جکڑے ہوئے ہیں، اور شاہی جبر کے تحت زندگی گزار رہے ہیں۔ وہ غربت اور محتاجی کی زندگی بسر کر رہے ہیں۔
یہاں یہ بھی بتایا گیا ہے کہ انگریزوں نے برصغیر پر قبضہ کرنے کے بعد کشمیر کے آزاد علاقے کو چند لاکھ روپے کے عوض ایک ہندو ڈوگرہ کے ہاتھ بیچ دیا تھا اور وہاں کے لوگوں کو اس کا غلام بنا دیا تھا۔
Roman Urdu
Allama Iqbal kehte hain ke woh Kashmir jise uski khushhali aur khoobsurti ki wajah se maazi ke danishmand log “chhota Iran” kehte the, aaj Hinduon ke zulm aur loot maar ki wajah se badhaali ka shikar hai.
Wahan ke Musalman khushhali ke bajaye museebaton mein mubtala hain, azadi ke bajaye ghulami ki zanjeeron mein jakre hue hain, aur shahi jabr ke tehat zindagi guzar rahe hain. Woh ghurbat aur mohtaji ki zindagi basar kar rahe hain.
Yahan yeh bhi bataya gaya hai ke Angrezon ne bar-e-sagheer par qabza karne ke baad Kashmir ke azad ilaqe ko chand lakh rupay ke iwaz aik Hindu Dogra ke hath bech diya tha aur wahan ke logon ko uska ghulam bana diya tha.
Urdu
جب کوئی سچا انسان (مردِ حق) جو اللہ کے سوا کسی کو اپنا مالک نہیں سمجھتا، اللہ کو چھوڑ کر بادشاہوں اور امیروں کو اپنا مالک مان لیتا ہے اور ان کے دبدبے اور خوف کی وجہ سے ان کی مرضی پر چلتا ہے، تو آسمانوں کے سینے سے بھی ایک جلانے والی آہ نکلتی ہے کہ ایسا کیوں ہوا؟
Roman Urdu
Jab koi saccha insaan (mard-e-haq) jo Allah ke siwa kisi ko apna malik nahi samajhta, Allah ko chhor kar badshahon aur amiron ko apna malik maan leta hai aur unke dab-dabe aur khauf ki wajah se unki marzi par chalta hai, toh asmanon ke seene se bhi aik jalane wali aah nikalti hai ke aisa kyun hua?
Urdu
ملا ضیغم کہتے ہیں کہ اس کشمیر کے ساتھ، جو کل تک آزاد اور خوشحال تھا، زمانے نے کتنا بڑا ظلم کیا ہے، اس کا ہلکا سا اندازہ کرنا ہو تو پہاڑ کے دامن میں رہنے والے بوڑھے کسان کے اس گھر کو دیکھ لو۔
اس گھر میں غربت، بھوک، تنگدستی اور بیماری کے علاوہ کچھ بھی نہیں۔ یہ گھر نہیں بلکہ غم کا گھر ہے۔ یہ صورتِ حال اس ہندو راجہ کی پیدا کی ہوئی ہے، جس نے کشمیر اور کشمیریوں کو کوڑیوں کے مول (بہت کم قیمت میں) خرید کر انہیں اپنا غلام بنا لیا تھا۔
Roman Urdu
Mulla Zaigham kehte hain ke is Kashmir ke sath, jo kal tak azad aur khushhal tha, zamane ne kitna bara zulm kiya hai, uska halka sa andaza karna ho toh pahar ke daman mein rehne wale boodhe kisan ke is ghar ko dekh lo.
Is ghar mein ghurbat, bhook, tangdasti aur beemari ke ilawa kuch bhi nahi. Yeh ghar nahi balkeh gham ka ghar hai. Yeh soorat-e-haal us Hindu Raja ki paida ki hui hai, jis ne Kashmir aur Kashmerion ko kodion ke mol (bohat kam qeemat mein) khareed kar unhein apna ghulam bana liya tha.
Urdu
علامہ اقبال اس عبارت میں کشمیر کی شریف، ہنر مند اور ذہین قوم کی بدحالی کو دیکھ کر شدید دکھ اور افسوس کا اظہار کرتے ہیں۔
وہ اللہ سے فریاد کرتے ہوئے کہتے ہیں کہ: “اے گناہ کرنے والوں کو مہلت دینے والے اور دیر سے پکڑنے والے خدا! تو ان لوگوں کو کب پکڑے گا اور کب سزا دے گا جنہوں نے کشمیر اور کشمیریوں کو اس حال تک پہنچایا ہے؟”
وہ کہتے ہیں: “اے خدا! بدلے کا وہ دن کب آئے گا؟“
Roman Urdu
Allama Iqbal is ibarat mein Kashmir ki shareef, hunar-mand aur zaheen qaum ki bad-haali ko dekh kar shadeed dukh aur afsos ka izhar karte hain.
Woh Allah se faryad karte hue kehte hain ke: “Aey gunah karne walon ko mohlat dene wale aur der se pakarne wale Khuda! Tu in logon ko kab pakre ga aur kab saza de ga jinhon ne Kashmir aur Kashmirion ko is haal tak pohanchaya hai?”
“Woh kehte hain: “Aey Khuda! Badle ka woh din kab aayega?”