(Armaghan-e-Hijaz-39) Aan Azam-e-Buland Awar Aan Soz-e-Jigar Awar

(آن عزم بلند آور آن سوز جگر آور)

Nourish that lofty will and burning heart

Aan Azam-E-Buland Awar Aan Soz-E-Jigar Awar

Shamsheer-E-Pidr Khawahi Bazoo’ay Padar Awar

Nourish that lofty will and burning heart,

Get back your father’s arms if thou wish’st to have his sword.

Full Explanation in Urdu and Roman Urdu

Urdu

اس عبارت میں علامہ اقبال ملا ضیغم کی زبان سے کشمیری مسلمانوں کو آزادی کا ایک اہم اصول سمجھاتے ہیں۔ وہ کہتے ہیں کہ اگر تم اپنے بزرگوں جیسی عزت چاہتے ہو، تو ان جیسے بلند ارادے اور بلند جذبے بھی پیدا کرو۔

علامہ کہتے ہیں کہ اگر تمہیں اپنے باپ کی تلوار چاہیے، تو پہلے ان جیسا مضبوط بازو، بلند ارادہ اور دل میں گرم جوشی پیدا کرو۔ اپنے آباؤ اجداد جیسی آزاد زندگی حاصل کرنے کے لیے ضروری ہے کہ پہلے تمہارے اندر آزادی کا ایک مضبوط ارادہ پیدا ہو۔ پھر اس ارادے کو عملی جامہ پہنانے کے لیے عشق اور تڑپ کا جذبہ بھی ہو۔

جب تمہارے اندر یہ سب خوبیاں پیدا ہو جائیں گی، تب تم جہاد کر کے اپنی تلوار کی طاقت سے اپنی قسمت بدل سکو گے اور غلامی کی زنجیریں کاٹ کر آزاد ہو جاؤ گے۔

محض خالی نعروں، تقریروں، جلسوں اور جلوسوں سے تمہارا آزاد ہونا ممکن نہیں۔

Roman Urdu

Is ibarat mein Allama Iqbal Mulla Zaigham ki zuban se Kashmiri Musalmanon ko azadi ka aik ahem usool samjhate hain. Woh kehte hain ke agar tum apne buzurgon jaisi izzat chahte ho, toh un jaise buland irade aur buland jazbe bhi paida karo.

Allama kehte hain ke agar tumhein apne baap ki talwar chahiye, toh pehle un jaisa mazboot bazoo, buland irada aur dil mein garm joshi paida karo. Apne aabao ajdad jaisi azad zindagi hasil karne ke liye zaroori hai ke pehle tumhare andar azadi ka aik mazboot irada paida ho. Phir is irade ko amali jama pehnane ke liye ishq aur tarap ka jazba bhi ho.

Jab tumhare andar yeh sab khoobiyan paida ho jayengi, tab tum jihad kar ke apni talwar ki taqat se apni qismat badal sakoge aur ghulami ki zanjeerein kaat kar azad ho jaoge.

Mehez khali naron, taqreeron, jalson aur julooson se tumhara azad hona mumkin nahi.

Share your love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *