Mohabbat Ki Duniya Mein Khushamdeed

Romantic Shayari Jo Har Dil Ke Jazbat Ko Zinda Kare.

Dil Ki Baat Mohabbat Ke Sath

Jab shayari mein mohabbat ho, toh har lafz dil se nikla hua ehsaas ban jata hai.

2 Lines Romantic Poetry

Mohabbat mein lafzon ka husn, jazbaat ki awaz ban kar dil par asar karta hai. Ye do lafzon mein wo baat keh jaati hai jo dil kabhi bayan nahi kar paata. Har sher, jazbat ka aaina hota hai, kabhi muskurahat, kabhi aansu, to kabhi tanhai. Ye ashaar mohabbat ki gehraai ko chhoo kar, har dil ko ishaq main dobny pe majboor kar dete hain.

Kaha jata hai ke dil say jo aah nikalti hai asar rakhti, ye alfaaz ki taseer, alfaaz ki taqat ot mithaas ko jab shaeri ki shakal di jaati hai to lafzoo ka husan aur nikhar ke samny a jata hai. 2 laeno ki shaeri kozay ko darya main band karny ke mutradif hai, jo apny andar samundar si gherai, chatano si mazbooti, or phooli si mehak rakhti hai.

Urdu:

محبتوں کا جہاں بسا دوں تمہارے دل میں

تمہاری ہر صبح کو شام بنا دوں پیار کے رنگ میں

Roman Urdu:

Mohabbaton ka jahan basa doon tumhare dil mein

Tumhari har subah ko shaam bana doon pyaar ke rang mein

Urdu:

چاندنی راتوں میں تیری باتیں کیا کرتے ہیں

محبت کا ذکر ہر رات کیا کرتے ہیں

Roman Urdu:

Chandni raton mein teri baatein kiya karte hain

Mohabbat ka zikr har raat kiya karte hain

Urdu:

دل کا سکون ہو تم، خوابوں کی دنیا ہو تم

بس تم سے ہے زندگی، یہ تم ہی تو ہو

Roman Urdu:

Dil ka sukoon ho tum, khwabon ki duniya ho tum

Bas tum se hai zindagi, ye tum hi to ho

Urdu:

تمہیں دیکھ کر ہی دل کی دنیا روشن ہو گئی

زندگی کی ہر خوشی تم سے جُڑی ہوئی

Roman Urdu:

Tumhein dekh kar hi dil ki duniya roshan ho gayi

Zindagi ki har khushi tum se judi hui

Urdu:

پھولوں کی مہک سے حسین ہے تیرا وجود

دل مانگے تجھے ہر وقت اپنی دُعا میں

Roman Urdu:

Phoolon ki mehak se haseen hai tera wajood

Dil maange tujhe har waqt apni dua mein

4 Lines Romantic Poetry

Mohabbat mein lafzon ka jadoo, do dilon ko ek ladi mein piro deta hai. Har line, hmary dil ki tarjuman hoti hai. Mehboob ki muskurahat mein chhupi roshni,  judaai ka dard, yar hijar ki lambi ratain, urdu shairi ye tamam jazbaat byan karnt main maahir hai. Mohabbat ki ye chaar linein, wo ehsaas hai jo har lamha khushbu ki tarah mehsoos hota hai or zehan pay chaa jata hai.

Urdu:

تیرے بغیر یہ دل سنورتا نہیں
تیری یادوں کا موسم گزر تا نہیں
میری راتوں کی نیندیں چرا لے گیا
تجھ سا کوئی خوابوں میں اترتا نہیں

Roman Urdu:

Tere bagair ye dil sanwarta nahi
Teri yaadon ka mausam guzarta nahi
Meri raaton ki neendein chura le gaya
Tujh sa koi khwabon mein utarta nahi

Urdu:

تیرے لمس کی خوشبو ابھی باقی ہے
میری سانسوں میں چاہت بسی باقی ہے
تیری یادوں کا موسم بھیگتا رہا
محبت کی رم جھم ابھی باقی ہے

Roman Urdu:

Tere lams ki khushboo abhi baqi hai
Meri saanson mein chahat basi baqi hai
Teri yaadon ka mausam bheegta raha
Mohabbat ki rumjhum abhi baqi hai

Urdu:

تیری باتوں میں جادو سا لگتا ہے
تیرا ملنا خوابوں سا لگتا ہے
تو جو آئے تو بہاریں آ جائیں
تیرا جانا ویرانوں سا لگتا ہے

Roman Urdu:

Teri baaton mein jaadu sa lagta hai
Tera milna khwabon sa lagta hai
Tu jo aaye to bahaaren aa jaayein
Tera jaana veeranon sa lagta hai

Urdu:

محبت کی خوشبو بکھرتی رہے
یہ دنیا یونہی سنورتی رہے
تیری یادوں کا چراغ جلتا رہے
میری چاہت یونہی مہکتی رہے

Roman Urdu:

Mohabbat ki khushboo bikhrti rahe
Ye duniya yunhi sanwarti rahe
Teri yaadon ka chiraagh jalta rahe
Meri chahat yunhi mehakti rahe

Urdu:

تیرے بغیر یہ زندگی بیکار سی ہے
دل کی دنیا سنسان دیوار سی ہے
تجھ کو دیکھوں تو بہار آ جائے
ورنہ یہ دنیا ویران بازار سی ہے

Roman Urdu:

Tere bagair ye zindagi bekaar si hai
Dil ki duniya sunsaan deewaar si hai
Tujh ko dekhoon to bahaar aa jaaye
Warna ye duniya veeran bazaar si hai

Mehboob Ke Husan Ki Poetry

Mehboob ki meethi muskurahat, nasheeli ankho, khankhati awaz, or dil ko choo leny wali adaao ki tareef ka haq romantic shaeri say behtar koi nahi ada kar skta. Kisi Shaer nay kaya khoob kaha hai k “Husan-e-janna” ki tareef mumkin nahi, aafree aafree. Mehboob ke husan pay jitni bhi baat ki jay kam hai, uska to har pehlu, har baat, har ada hi dil nashee hai. Ye shaeri apny naghma-e-dil apny jaan-e-jaan ko esy hi bayan karti hai jesy subha ki pak hawa, jesy barish ke baad suraj ki pehli kiran, jesy phoolon ki mehak.

Hamary tamam ashaar mehboob ki ek ek ada pay pura otarty hain aur dil ko choo jaty hain.

Urdu:

دل کا سکون، روح کی راحت بن گیا وہ
محبوب کا حسن، زندگی کی جنت بن گیا وہ

Roman Urdu:

Dil ka sukoon, rooh ki rahat ban gaya wo
Mehboob ka husn, zindagi ki jannat ban gaya wo

Urdu:

نظروں سے پیا پیغام محبت کا جب بھی
حسنِ یار نے دل کو بےقرار کر دیا تب بھی

Roman Urdu:

Nazron se piya paighaam mohabbat ka jab bhi
Husn-e-yaar ne dil ko beqaraar kar diya tab bhi

Urdu:

چاند بھی شرما گیا محبوب کے حسن سے
روشنی چھپانے لگی راتیں بھی حسرت سے

Roman Urdu:

Chaand bhi sharma gaya mehboob ke husn se
Roshni chhupane lagi raatein bhi hasrat se