(Armaghan-e-Hijaz-10) Faraghat De Usse Kaar-e-Jahan Se

Faraghat De Usse Kaar-e-Jahan Se

(فراغت دے اس کار جہاں سے)

Set him free of this world’s affairs

Faraghat De Usse Kar-E-Jahan Se

Ke Chootay Har Nafs Ke Imtihan Se

Set him free of this world’s affairs

To be free of casting for everyone’s snares.

Huwa Peeri Se Shaitan Kuhna Andaish

Gunah-E-Taza Tar Laye Kahan Se !

In old age, Satan’s thoughts too are old

Where should he bring new sins’ flares?

Full Explanation in Urdu and Roman Urdu

Urdu

اس رباعی میں علامہ اقبال شاعرانہ انداز میں خدا سے مخاطب ہو کر کہتے ہیں کہ: “اے خدا! جس شیطان کو تو نے ہزاروں سال پہلے بنایا تھا، وہ آج تک اسی سوچ میں ہے کہ کس طرح لوگوں کو بہکا کر تجھ سے دور رکھے۔”

“اب وہ بوڑھا ہو چکا ہے لیکن اس کی سوچ نہیں بدلی۔ بہتر ہے کہ اب اسے اس کام سے چھٹی دے دو تاکہ وہ ہر وقت کی آزمائش سے آزاد ہو جائے۔”

علامہ کہتے ہیں کہ آج کے زمانے کا انسان تو خود شیطان بن چکا ہے، اس لیے اب ایک نئے شیطان کی ضرورت ہے جو اسے شیطانیت کا کوئی نیا طریقہ سکھا سکے۔ اس رباعی کا مقصد یہ ہے کہ مغربی تہذیب نے انسان کو اتنا بگاڑ دیا ہے کہ اس میں وہ تمام برائیاں خود ہی پیدا ہو گئی ہیں جو شیطان پیدا کر سکتا تھا۔ اس لیے اب اس پرانے شیطان کی ضرورت باقی نہیں رہی۔

Roman Urdu

Is ruba’i mein Allama Iqbal shairana andaz mein Khuda se mukhatib ho kar kehte hain ke: “Aey Khuda! Jis shaitan ko tu ne hazaron saal pehle banaya tha, woh aaj tak isi soch mein hai ke kis tarah logon ko behka kar tujh se door rakhe.”

Ab woh boodha ho chuka hai lekin uski soch nahi badli. Behtar hai ke ab use is kaam se chutti de o taake woh har waqt ki aazmaish se azad ho jaye.

Allama kehte hain ke aaj ke zamane ka insaan toh khud shaitan ban chuka hai, is liye ab aik naye shaitan ki zaroorat hai jo use shaitaniyat ka koi naya tareeqa sikha sake. Is ruba’i ka maqsad yeh hai ke maghribi tehzeeb ne insaan ko itna bigaar diya hai ke us mein woh tamam buraiyan khud hi paida ho gai hain jo shaitan paida kar sakta tha. Is liye ab is purane shaitan ki zaroorat baqi nahi rahi.

Meta-Description

Share your love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *