
(Armaghan-e-Hijaz-12) Ghareebi Mein Hun Mehsud-e-Ameeri
(غریبی میں ہوں محسود امیری)
My poor estate makes proud men covetous
“Ghareebi Mein Hon Mehsood-E-Ameeri
Ke Ghairatmand Hai Meri Faqeeri”
My poor estate makes proud men covetous,
Poverty such as mine ennobles us.
“Hazzar Uss Faqar-O-Darveshi Se, Jis Ne
Musalman Ko Sikha Di Sar-Ba-Zayri”
Beware those other rags and begging bowls
That makes the Muslim pusillanimous!
Full Explanation in Urdu and Roman Urdu
Urdu
اس عبارت میں فقیری اور درویشی کی دو مختلف صورتیں بیان کی گئی ہیں۔ ایک وہ جو انسان کو بھکاری اور دوسروں کا محتاج بنا دیتی ہے اور اس کے لیے دوسروں کے سامنے ہاتھ پھیلانا مجبوری بن جاتا ہے۔ دوسری وہ فقیری ہے جو انسان کو اللہ کے سوا ہر کسی سے بے نیاز کر دیتی ہے۔ ایسا فقیر صرف اللہ کے در کا مانگنے والا ہوتا ہے، اسی لیے دنیا کے بادشاہ، امیر اور دولت مند سب اس کی چوکھٹ کے فقیر بن جاتے ہیں۔
Roman Urdu
Is ibarat mein faqeeri aur darveshi ki do mukhtalif sooratain bayan ki gai hain. Aik woh jo insaan ko bhikari aur doosron ka mohtaj bana deti hai aur uske liye doosron ke samne hath phailana majboori ban jata hai.
Doosri woh faqeeri hai jo insaan ko Allah ke siwa har kisi se be-niyaz kar deti hai. Aisa faqeer sirf Allah ke dar ka mangne wala hota hai, isi liye dunya ke badshah, ameer aur daulatmand sab uski chokhat ke faqeer ban jate hain.
Urdu
اس رباعی میں علامہ اقبال فقیری کی دوسری قسم کا ذکر کرتے ہوئے کہتے ہیں کہ اگرچہ میرے پاس دنیا کی دولت نہیں ہے، لیکن اس غریبی کی حالت میں بھی میری یہ شان ہے کہ دولت مند لوگ مجھ سے حسد کرتے ہیں۔ انہیں اپنی دولت سے زیادہ میری فقیری بہتر لگتی ہے۔
اپنے فقر کی مثال دینے کے بعد علامہ مسلمانوں سے کہتے ہیں کہ: “تم اس فقر اور درویشی سے بچو، جس نے تمہیں دوسروں کے سامنے جھکنا اور ہاتھ پھیلانا سکھا دیا ہے اور تمہاری عزت اور غیرت چھین لی ہے۔“
Roman Urdu
Is ruba’i mein Allama Iqbal faqeeri ki doosri qism ka zikr karte hue kehte hain ke agarche mere paas dunya ki daulat nahi hai, lekin is ghareebi ki halat mein bhi meri yeh shaan hai ke daulatmand log mujh se hasad karte hain. Unhein apni daulat se zyada meri faqeeri behtar kagti hai.
Apne faqr ki misal dene ke baad Allama Musalmanon se kehte hain ke: “Tum is faqr aur darveshi se bacho, jis ne tumhein doosron ke samne jhukna aur hath phailana sikha diya hai aur tumhari izzat aur ghairat cheen li hai.