Bal-e-Jibril-07 Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa Kar

(دلوں کو مرکز مہر و وفا کر)

Make our hearts the seats of mercy and love

Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa Kar

Hareem-e-Kibriya Se Ashna Kar

Make our hearts the seats of mercy and love,

And make them in Thy thought forever move;

Jise Naan-e-Jaween Bakhshi Hai Tu Ne

Usse Bazoo-e-Haider (R.A.) Bhi Atta Kar

To one whom gavest Thou poor means to live.

Give the invincible power of Ali (R.A.) to the brave.

Full Explanation in Urdu and Roman Urdu

Urdu

اس عبارت میں علامہ اقبال دعا کے انداز میں اللہ تعالیٰ سے درخواست کرتے ہیں کہ: “اے اللہ! انسانوں کے دلوں کو اپنی محبت سے بھر دے اور انہیں وفاداری کے راستے پر چلا دے۔

 Roman Urdu

Is ibarat mein Allama Iqbal dua ke andaz mein Allah Ta’ala se darkhwast karte hain ke: “Aey Allah! insanon ke dilon ko apni mohabbat se bhar de aur unhein wafadari ke raste par chala de”.

Urdu

اس عبارت میں علامہ اقبال اللہ سے دعا کرتے ہیں کہ وہ غریب اور بے سہارا لوگ، جن کے پاس اتنے وسائل بھی نہیں کہ وہ پیٹ بھر کر کھانا کھا سکیں اور جو صرف جو کی روٹی پر گزارا کرتے ہیں، تو یہ ان کا مقدر سہی، لیکن اے اللہ! ان کے بازوؤں کو حضرت علی رضی اللہ عنہ جیسی طاقت بھی عطا فرما۔

علامہ اقبال نے اپنے کلام میں کئی جگہوں پر حضرت علی کی بہادری، ہمت اور اللہ کے سوا ہر ایک سے بے نیازی کا ذکر کیا ہے۔ وہ ان کے مثالی کردار سے بہت متاثر تھے۔

 Roman Urdu

Is ibarat mein Allama Iqbal Allah se dua karte hain ke woh ghareeb aur be-sahara log, jin ke paas itne wasail bhi nahi ke woh pait bhar kar khana kha sakein aur jo sirf jo ki roti par guzara karte hain, toh yeh unka muqaddar sahi, lekin Aey Allah! unke bazoo’on ko Hazrat Ali (R.A) jaisi taqat bhi ata farma.

Allama Iqbal ne apne kalam mein kai jaghon par Hazrat Ali ki bahaduri, himmat aur Allah ke siwa har aik se be-niyazi ka zikr kiya hai. Woh unke misali kirdar se bohat mutasir the.

Share your love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *