Top 4 Most Searched Urdu Ghazals in 2024
Urdu ghazals have been a cornerstone of South Asian Literature and culture for centuries. People use them to show their feelings and emotions. In 2024, certain ghazals have stood out as particularly impactful, resonating deeply with readers and listeners. Here are the top 4 most searched Urdu ghazals of 2024.
Ali Zaryoun
Pehlay pehal laden gy tamashkar udayen gy
Jb ishq dekh lain gy to sir pr bithayen gy
Tu to phr apni jaan hai tera to zikr kya
Ham tery doston ke bhi nakhry uthayen gy
Ghalib ny ishq ko jo dimaghi khalal kaha
Choden ye ramz ap nhi jaan payen gy
Parkhain gy aik aik ko ly kr tmhara nam
Dushman hai kon dost hai pehchan jayen gy
Qibla kabhi to taza sukhan bhi kren ataa
Ye char paanch ghazlain hi kab tak sunayen gy
Ye ehtmam aur kisi ke liye nhi
Taanay tmhary naam ke ham pr hi aayen gy
Muneer Niazi
Wo dil ki baten zmanay bhr ko na youn sunata, mujhy btata
Wo aik dfa meri muhabbat ko aazmata, mujhy btata
Zuban-e-khalaqat sy jany kya kya wo mujh ko bawar kra rha hai
Kisi bhi bahaany anaa ki diwar ko girata, mujhy btata
Zmanay walon ko kya padhi hai sunay jo hal-e-dil shikasta
Magr meri to ye aarzu thi mujhy bulata, mujhy btata
Mujhy khabar hai ke chupkay chupkay andhery usko nighal rhy hain
Mein us ki raahon mein apny dil ka diya jlata, mujhy btata
Sitam kya hai Muneer us ny jo shehar chodha hai khamoshi say
Mein uski khatir ye sari duniya bhi chodh jata, mujhy btata
Sahir Ludhianvi
Chlo ik baar phr sy ajnabi ban jayen ham donon
Na mein tum say koi umeed rakhun dil nwazi ki
Na tum meri traf dekho ghlat andaaz nazron say
Na mery dil ki dhadkan ladkhadaye meri baton se
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazron se
Tumhein bhi koyi uljhan rokti hai pesh kadmi se
Mujhe bhi log kehte hain ki yeh jalwe paraye hain
Mere humraah bhi ruswaiyan hain mere maazi ki
Tumhare sath bhi guzri huyi raaton ke saye hain
Tarruf rog ho jaye to usko bhoolna behtar
Talluk bojh ban jaye to usko todna achaa
Chlo ik baar phr sy ajnabi ban jayen ham donon
Ahmed Faraz
Zindagi se yahi gila hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe
Tu mohabbat se koi chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe
Dil dhadakta nahi tapakta hai
Kal jo ḳhvahish thi aabla hai mujhe
Ham-safar chahiye hujum nahi
Ik musafir bhi qafila hai mujhe
Kohkan ho ki qais ho ki ‘faraz’
Sab men ik shaḳhs hi mila hai mujhe
That’s all; these are the top 4 most famous and searched Urdu Ghazals this year, according to Google; which is your favourite? Tell us in the comment section, and also share your valuable reviews.