
(Bal-e-Jibril-105) Jawanon Ko Meri Aah-e-Sehar De
(جوانوں کو مری آہِ سحر دے)
Jawanon Ko Meri Aah-e-Sehar De
Phir In Shaheen Bachon Ko Baal-o-Par De
جوانوں کو مری آہِ سحر دے
پھر ان شاہین بچوں کو بال و پر دے
Give to the youth my sighs of dawn;
Give wings to these eaglets again,
Khudaya! Arzoo Meri Yehi Hai
Mera Noor-e-Baseerat Aam Kar De
خدایا آرزو میری یہی ہے
مرا نورِ بصیرت عام کر دے
This, dear Lord, is my only wish—
That my insights should be shared by all!
Full Explanation in Urdu and Roman Urdu
Urdu
علامہ اقبالؒ اس رباعی کے ذریعے قوم کے نوجوانوں کی بیداری کے لیے خدا کے حضور دعا اور اپنی آرزو کا اظہار کر رہے ہیں۔ وہ رب ذوالجلال کی بارگاہ میں دعاگو ہیں کہ اے میرے رب! نوجوانانِ ملت کو وہی سوز و گداز بھری آہِ سحر (علی الصباح کی دعا کا شدید جذبہ) عطا کر جس سے میں خود بہرہ ور ہوں۔
اقبالؒ کہتے ہیں کہ یہ نوجوان اپنی فطرت کے اعتبار سے تو بلند پرواز شاہین کی مانند ہیں، لیکن ان کا بڑھا المیہ یہ ہے کہ اپنی بے عملی اور جمود کے سبب ان میں اب آگے بڑھنے کی قوت اور تڑپ باقی نہیں رہی۔ چنانچہ میری دلی آرزو اور تمنا یہی ہے کہ تو نے مجھے جو بصیرت اور سچائی کا نور عطا کیا ہے، وہ عام لوگوں اور بالخصوص قوم کے نوجوانوں تک پہنچا دے تاکہ وہ دوبارہ اپنی اصل منزل کی طرف گامزن ہو سکیں۔
Roman Urdu
Allama Iqbalؒ is rubaai ke zariye qaum ke naujawaanon ki bedaari ke liye Khuda ke huzoor dua aur apni aarzoo ka izhaar kar rahe hain. Woh Rabb-ul-Jalaal ki baargah mein du’a-go hain ke Aye mere Rabb! Naujawaanan-e-Millat ko wahi soz-o-gudaaz bhari Aah-e-Sahar (subah ki dua ka shadeed jazba) ataa kar jiss se main khud behra-war hoon.
Iqbal kehte hain ke yeh naujawaan apni fitrat ke aitbaar se toh buland parwaaz Shaheen ki maanind hain, lekin unka barra almiya yeh hai ke apni be-amali aur jumood ke sabab in mein ab aage barhney ki quwwat aur tarrap baaqi nahi rahi. Chunanche meri dili aarzoo aur tamanna yahi hai ke tu ne mujhe jo baseerat aur sachchaai ka noor ataa kiya hai, woh aam logon aur bil-khusoos qaum ke naujawaanon tak pahuncha de taa-ke woh dobara apni asal manzil ki taraf gaamzan ho saken.
